Tuesday, October 30, 2007

Pal...

Tere liye hi hai, yeh zindagi...
Tujh se hi hai ab, meri har khushi...
Aarzoo hai bas, tere saath rehna...
Zindagi ki har ghadi...

Tu paas toh nahin par, faaslon mein bhi dum nahin...
Tu saath toh nahin par, bin tere koi pal nahin...
Hai pyaar mein aisi taakat, jo pal mein khushiyaan de jaati hai...
Aankhen bandh kar lu toh, taaza voh pal, ho jaate hai.......

Bharat Ki Shaan...

Waqt se aage rehna, hame aa gaya hai...
Dat kar mehnat karna, hamne seekh liya hai...
Surkhiyon mein rehne ki aadat si ho gayi hai...
Ek hi lakshya ab hai, shikhar ko choona hai...

Aapse yeh vaada hai...
Dil-o-jaan se khelenge...
Hunar ko hamaare aur, mazbut karenge...
Sirf ek guzaarish hai...
Aapke pyaar ki khwaaish hai...
Suron se sajaayenge hum, Bharat Ki Shaan.......

Aam si zindagi thi hamaari...
Guzarti thi, aapke hi darmiyaan...
Aaj is mukaam par hai hum khade...
Chaahte hai bas, aapki dua.......

Intezaar...

Khoya khoya sa yeh chand hai...
Khoye khoye se hai hum bhi...
Jaane kaha, ab hosh hai...
Madhosh hai yeh sama bhi...
Halke se, yeh hawaayein, izhaar karti hai kya...
Chup ke se, is dil mein, armaan jagaati hai kya?

Intezaar hai, ab pyaar ka...
Inteha hai, ab sabr ka...
Kaun hai, jiski chaah hai...
Noor hai, jo in aankho ka...
Intezaar hai.......

Aayegi kya kabhi, voh hamaare paas bhi?
Aakar kya kabhi, ikraar kar jaayegi?
Uske ek khayal se hi, dil mera hai dhadakta...
Itni kyun hai bebasi, main khud se hi poochta...

Intezaar hai, ab pyaar ka...
Inteha hai, ab sabr ka...
Kaun hai, jiski chaah hai...
Noor hai, jo in aankho ka...
Intezaar hai.......