Saturday, March 3, 2007

Kabhi Himmat Tum Na Haarna...

Kabhi jo waqt aaye bura, kabhi dil ho gham se bhara,
Kabhi ho koi tumse juda, kabhi himmat tum naa haarna...
Aaj hai jo woh, kal phir naa hoga,
Khushiyaa aayengi, dard naa hoga,
Aaj andhera hai, kal saveraa bhi, hoga...
Khel waqt ka yeh kabhi toh thamega...
Kabhi Himmat Tum Naa Haarna.......

Pyaar mein kabhi, hota hai yun...
Dil jise diya, wohi duur hota hai kyun?
Sachhe pyaar par, karo tum yakin...
Sachha hai agar toh, milega kabhi...
Dil mein aashaa ki deep jalaaye rakhna,
Kabhi Himmat Tum Naa Haarna.......

Zindagi hame, sikhati hai sab...
Achha-bura kya, dikhati hai sab...
Apne hame, samjhe nahi...
Pal do pal ke yaar hai sab...
Par gham karna nahi, bas badhte rehnaa,
Kabhi Himmat Tum Naa Haarna.......

No comments: